gham de ke apna phir koi bahla gaya hai dil

gham de ke apna phir koi bahla gaya hai dil
Aleem Akhtar muzaffarnagri
MORE BYAleem Akhtar muzaffarnagri
ġham de ke apnā phir koī bahlā gayā hai dil
kyā baat thī ki dil ko jo samjhā gayā hai dil
bātoñ meñ phir kisī kī mirā aa gayā hai dil
kitnā baḌā fareb magar khā gayā hai dil
un kī adā-e-ḳhās pe kyā aa gayā hai dil
ḳhud jalva-e-jamāl ko taḌpā gayā hai dil
ḳhalvat-nashīñ hai koī ba-sad-husn-e-ehtiyāt
yā shauq-e-ārzū se basāyā gayā hai dil
ye kyā maqām-e-ġham hai na jaane ki in dinoñ
aksar tire ḳhayāl se ghabrā gayā hai dil
ġham se bhī be-niyāz ḳhushī se bhī be-niyāz
kyā kushtagān-e-ġham kā banāyā gayā hai dil
ab intihā-e-dard-e-mohabbat hai zindagī
un ke ḳhayāl-e-shauq pe kyā chhā gayā hai dil
terī jafā ne hausla-e-ġham baḌhā diyā
zulm-o-sitam se dād-e-vafā pā gayā hai dil
vo yaad ban ga.ī hai mirī ġham-gusār-e-shauq
jab bhī ġham-e-hayāt se uktā gayā hai dil
kyoñ ho gayā hai 'ālam-e-imkāñ udaas udaas
'aḳhtar' kabhī malūl jo paayā gayā hai dil
gham de ke apna phir koi bahla gaya hai dil
kya baat thi ki dil ko jo samjha gaya hai dil
baaton mein phir kisi ki mera aa gaya hai dil
kitna baDa fareb magar kha gaya hai dil
un ki ada-e-KHas pe kya aa gaya hai dil
KHud jalwa-e-jamal ko taDpa gaya hai dil
KHalwat-nashin hai koi ba-sad-husn-e-ehtiyat
ya shauq-e-arzu se basaya gaya hai dil
ye kya maqam-e-gham hai na jaane ki in dinon
aksar tere KHayal se ghabra gaya hai dil
gham se bhi be-niyaz KHushi se bhi be-niyaz
kya kushtagan-e-gham ka banaya gaya hai dil
ab intiha-e-dard-e-mohabbat hai zindagi
un ke KHayal-e-shauq pe kya chha gaya hai dil
teri jafa ne hausla-e-gham baDha diya
zulm-o-sitam se dad-e-wafa pa gaya hai dil
wo yaad ban gai hai meri gham-gusar-e-shauq
jab bhi gham-e-hayat se ukta gaya hai dil
kyon ho gaya hai 'alam-e-imkan udas udas
'aKHtar' kabhi malul jo paya gaya hai dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.