gham dete hain sab koi bhi gham-KHwar nahin hai
ġham dete haiñ sab koī bhī ġham-ḳhvār nahīñ hai
ye shahr kisī kā bhī vafādār nahīñ hai
kyoñ ho ga.e maġhmūm hameñ dekh ke ahbāb
chehra hai hamārā koī aḳhbār nahīñ hai
miltā hai jo iḳhlās se sar apnā jhukā kar
aisā na samajhnā ki vo ḳhud.dār nahīñ hai
ye baat paḌosī ko ab achchhī nahīñ lagtī
āñgan meñ hamāre koī dīvār nahīñ hai
is tarah mujhe chashm-e-hiqārat se na dekho
hai kaun jo duniyā meñ gunahgār nahīñ hai
ab aur qayāmat kise kahte haiñ batāo
bhaa.ī ko bhī bhaa.ī se sarokār nahīñ hai
kah detā hai har baat kharī muñh pe hamesha
ā.īna kisī kā bhī taraf-dār nahīñ hai
har shaḳhs añdheroñ kī himāyat meñ hai masrūf
ab koī ujāloñ kā taraf-dār nahīñ hai
jhūToñ ke taraf-dār 'zamīr' aaj sabhī haiñ
sach kahne ko ab koī bhī tayyār nahīñ hai
gham dete hain sab koi bhi gham-KHwar nahin hai
ye shahr kisi ka bhi wafadar nahin hai
kyon ho gae maghmum hamein dekh ke ahbab
chehra hai hamara koi aKHbar nahin hai
milta hai jo iKHlas se sar apna jhuka kar
aisa na samajhna ki wo KHuddar nahin hai
ye baat paDosi ko ab achchhi nahin lagti
aangan mein hamare koi diwar nahin hai
is tarah mujhe chashm-e-hiqarat se na dekho
hai kaun jo duniya mein gunahgar nahin hai
ab aur qayamat kise kahte hain batao
bhai ko bhi bhai se sarokar nahin hai
kah deta hai har baat khari munh pe hamesha
aaina kisi ka bhi taraf-dar nahin hai
har shaKHs andheron ki himayat mein hai masruf
ab koi ujalon ka taraf-dar nahin hai
jhuTon ke taraf-dar 'zamir' aaj sabhi hain
sach kahne ko ab koi bhi tayyar nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.