gham dete hain to iztirab na de
ġham dete haiñ to iztirāb na de
zindagī de magar azaab na de
muskurāne ke haiñ ka.ī mafhūm
muskurā kar koī javāb na de
is kī ta.abīr kis se pūchhūñgā
merī āñkhoñ ko koī ḳhvāb na de
ḳhud-shanāsī miTā.e detā hai
aish itnā bhī be-hisāb na de
mujh ko jo chāhe de sazā lekin
maslahat kī koī naqāb na de
terī zid hai yahī agar saaqī
zahr de de magar sharāb na de
gham dete hain to iztirab na de
zindagi de magar azab na de
muskurane ke hain kai mafhum
muskura kar koi jawab na de
is ki tabir kis se puchhunga
meri aankhon ko koi KHwab na de
KHud-shanasi miTae deta hai
aish itna bhi be-hisab na de
mujh ko jo chahe de saza lekin
maslahat ki koi naqab na de
teri zid hai yahi agar saqi
zahr de de magar sharab na de
- Book : Idraaq (Pg. 92)
- Author : Gohar Usmani
- Publication : Gohar Usmani (1993)
- Edition : 1993
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.