gham-e-dil ki dawa koi nahin hai
gham-e-dil ki dawa koi nahin hai
Maqsood Alam Khan Alam Barelvi
MORE BYMaqsood Alam Khan Alam Barelvi
ġham-e-dil kī davā koī nahīñ hai
hameñ un se gila koī nahīñ hai
vafā ke rāstoñ meñ kho gayā dil
kahāñ DhūñDūñ patā koī nahīñ hai
jhukā dūñgā maiñ sar qadmoñ pe jis ke
vo tum ho dūsrā koī nahīñ hai
bahut dekhe haiñ dil vāloñ ke jamghaT
yahāñ ahl-e-vafā koī nahīñ hai
binā tere jiye jaatā huuñ lekin
binā tere maza koī nahīñ hai
pashemāñ huuñ maiñ apnī āshiqī par
nahīñ tum se gila koī nahīñ hai
zabāñ hargiz na kah pā.egī 'ālam'
hameñ ab chāhtā koī nahīñ hai
gham-e-dil ki dawa koi nahin hai
hamein un se gila koi nahin hai
wafa ke raston mein kho gaya dil
kahan DhunDun pata koi nahin hai
jhuka dunga main sar qadmon pe jis ke
wo tum ho dusra koi nahin hai
bahut dekhe hain dil walon ke jamghaT
yahan ahl-e-wafa koi nahin hai
bina tere jiye jata hun lekin
bina tere maza koi nahin hai
pasheman hun main apni aashiqi par
nahin tum se gila koi nahin hai
zaban hargiz na kah paegi 'alam'
hamein ab chahta koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.