gham-e-dil ko badal jaane ki zid hai
ġham-e-dil ko badal jaane kī zid hai
magar ḳhushiyoñ ko Tal jaane kī zid hai
bigaḌtī jā rahī hai merī duniyā
magar mujh ko sambhal jaane kī zid hai
har ik tūfāñ ko pīchhe chhoḌ aa.uuñ
havādis se nikal jaane kī zid hai
mirī fitrat badal jaa.e to kaise
tirī bātoñ ko khul jaane kī zid hai
tire zaanū pe merā sar hai lekin
muqaddar ko machal jaane kī zid hai
mire jazbāt ko taskīn denā
samundar ko ubal jaane kī zid hai
ḳhilāf-e-zor-e-fitrat 'daur' behtar
magar fikroñ ko pal jaane kī zid hai
gham-e-dil ko badal jaane ki zid hai
magar KHushiyon ko Tal jaane ki zid hai
bigaDti ja rahi hai meri duniya
magar mujh ko sambhal jaane ki zid hai
har ek tufan ko pichhe chhoD aaun
hawadis se nikal jaane ki zid hai
meri fitrat badal jae to kaise
teri baaton ko khul jaane ki zid hai
tere zanu pe mera sar hai lekin
muqaddar ko machal jaane ki zid hai
mere jazbaat ko taskin dena
samundar ko ubal jaane ki zid hai
KHilaf-e-zor-e-fitrat 'daur' behtar
magar fikron ko pal jaane ki zid hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.