gham-e-dost ko aasaish-e-duniya se gharaz kya
gham-e-dost ko aasaish-e-duniya se gharaz kya
Shankar Lal Shankar
MORE BYShankar Lal Shankar
ġham-e-dost ko āsā.ish-e-duniyā se ġharaz kyā
bīmār-e-mohabbat ko masīhā se ġharaz kyā
sar-tā-ba-qadam banda-e-taslīm-o-razā huuñ
mujh āshiq-e-sādiq ko tamannā se ġharaz kyā
kūcha hai tirā aur hai din-rāt kā chakkar
vahshī ko tire gulshan-o-sahrā se ġharaz kyā
vā'da na karo jalva-e-dīdār dikhāo
imroz ke mushtāq ko fardā se ġharaz kyā
tum baaġh meñ jaate ho to gul khilte haiñ kyā kyā
phūloñ ko tumhāre ruḳh-e-zebā se ġharaz kyā
'aql itnī kahāñ hai ki jo anjām ko soche
duniyā ke talabgār ko 'uqbā se ġharaz kyā
ahbāb haiñ mai-ḳhāna hai pahlū meñ hai mā'shūq
ab hazrat-e-'shankar' ko tamannā se ġharaz kyā
gham-e-dost ko aasaish-e-duniya se gharaz kya
bimar-e-mohabbat ko masiha se gharaz kya
sar-ta-ba-qadam banda-e-taslim-o-raza hun
mujh aashiq-e-sadiq ko tamanna se gharaz kya
kucha hai tera aur hai din-raat ka chakkar
wahshi ko tere gulshan-o-sahra se gharaz kya
wa'da na karo jalwa-e-didar dikhao
imroz ke mushtaq ko farda se gharaz kya
tum bagh mein jate ho to gul khilte hain kya kya
phulon ko tumhaare ruKH-e-zeba se gharaz kya
'aql itni kahan hai ki jo anjam ko soche
duniya ke talabgar ko 'uqba se gharaz kya
ahbab hain mai-KHana hai pahlu mein hai ma'shuq
ab hazrat-e-'shankar' ko tamanna se gharaz kya
- Book : Dair-o-Haram (Pg. 85)
- Author : Shankar Lal Shankar
- Publication : Sahir Hoshiyaar puri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.