gham-e-duniya kisi ki yaad hasrat maut ki yaro
gham-e-duniya kisi ki yaad hasrat maut ki yaro
Pandit Vidya Rattan Asi
MORE BYPandit Vidya Rattan Asi
ġham-e-duniyā kisī kī yaad hasrat maut kī yaaro
inhīñ do-chār par hai ab madār-e-zindagī yaaro
ḳhushāmad jī-huzūrī maslahat-koshī ġharaz-mandī
yahī hai zindagī to phir hamārī bandagī yaaro
kisī kī chaah meñ jiite kisī kī chaah meñ marte
hamārā bhī koī hotā ye hasrat hī rahī yaaro
tumhāre saath rah kar bhī riyā-kārī nahīñ aa.ī
tumhārī kyā ḳhatā is meñ mirī bad-qismatī yaaro
vo jin kī dostī par aaj itrāte ho tum itnā
kabhī apnī bhī un logoñ se rasm-o-rāh thī yaaro
kahāñ tak tum fareb-e-dostī khāne se rokoge
sañbhal jā.egā ḳhud hī Thokareñ khā kar koī yaaro
na jiinā iḳhtiyārī hai na marnā iḳhtiyārī hai
ḳhudā jaane sazā hai zindagī kis jurm kī yaaro
tumhārī hī karam-farmā.iyoñ kā faiz hai varna
hameñ apne parā.e kī kahāñ pahchān thī yaaro
isī ko āgahī kahte haiñ is daur-e-siyāsat meñ
jahāñ tak ho sake hañste raho jhūTī hañsī yaaro
ye āh-o-zāriyāñ kaisī ye nauha-ḳhvāniyāñ kaisī
agar jiinā nahīñ aatā to kar lo ḳhud-kushī yaaro
ham itnā jānte haiñ 'āsī'-e-gustāḳh kī bābat
baḌā ḳhāmosh rahtā thā kabhī ye aadmī yaaro
gham-e-duniya kisi ki yaad hasrat maut ki yaro
inhin do-chaar par hai ab madar-e-zindagi yaro
KHushamad ji-huzuri maslahat-koshi gharaz-mandi
yahi hai zindagi to phir hamari bandagi yaro
kisi ki chah mein jite kisi ki chah mein marte
hamara bhi koi hota ye hasrat hi rahi yaro
tumhaare sath rah kar bhi riya-kari nahin aai
tumhaari kya KHata is mein meri bad-qismati yaro
wo jin ki dosti par aaj itraate ho tum itna
kabhi apni bhi un logon se rasm-o-rah thi yaro
kahan tak tum fareb-e-dosti khane se rokoge
sanbhal jaega KHud hi Thokaren kha kar koi yaro
na jina iKHtiyari hai na marna iKHtiyari hai
KHuda jaane saza hai zindagi kis jurm ki yaro
tumhaari hi karam-farmaiyon ka faiz hai warna
hamein apne parae ki kahan pahchan thi yaro
isi ko aagahi kahte hain is daur-e-siyasat mein
jahan tak ho sake hanste raho jhuTi hansi yaro
ye aah-o-zariyan kaisi ye nauha-KHwaniyan kaisi
agar jina nahin aata to kar lo KHud-kushi yaro
hum itna jaante hain 'asi'-e-gustaKH ki babat
baDa KHamosh rahta tha kabhi ye aadmi yaro
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 86)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.