gham-e-duniya ko bas meri taraf aane ki jaldi hai
ġham-e-duniyā ko bas merī taraf aane kī jaldī hai
har achchhe vaqt ko mujh se bichhaḌ jaane kī jaldī hai
baḌā nuqsān kar baiThī maiñ apnā jald-bāzī meñ
usī ko kho diyā maiñ ne jise paane kī jaldī hai
tum itnā muḳhtasar sā vaqt le kar aa.e hī kyoñ the
idhar aane meñ derī kī udhar jaane kī jaldī thī
haTā kar raah ke kāñTe nikal aa.ī salīqe se
mujhe jab manzil-e-maqsūd ko paane kī jaldī thī
'siyā' sab kah rahe haiñ zindagī kī aur ab dekho
magar dil kī tamannāoñ ko mar jaane kī jaldī hai
gham-e-duniya ko bas meri taraf aane ki jaldi hai
har achchhe waqt ko mujh se bichhaD jaane ki jaldi hai
baDa nuqsan kar baiThi main apna jald-bazi mein
usi ko kho diya main ne jise pane ki jaldi hai
tum itna muKHtasar sa waqt le kar aae hi kyon the
idhar aane mein deri ki udhar jaane ki jaldi thi
haTa kar rah ke kanTe nikal aai saliqe se
mujhe jab manzil-e-maqsud ko pane ki jaldi thi
'siya' sab kah rahe hain zindagi ki aur ab dekho
magar dil ki tamannaon ko mar jaane ki jaldi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.