gham-e-firaq ko hum KHush-gawar karte rahe
ġham-e-firāq ko ham ḳhush-gavār karte rahe
tumhāre naam se zikr-e-bahār karte rahe
ḳhirad kā kaam bhī āshufta-kār karte rahe
ġham-e-habīb-o-ġham-e-rozgār karte rahe
kisī ne ḳhuun se apnā chaman sajā bhī liyā
bahut to shikva-e-lail-o-nahār karte rahe
tirā sulūk bhī ehsān hai magar ai dost
yahī sulūk mire ġham-gusār karte rahe
diloñ meñ yaad kī rāheñ bhī aaj suunī haiñ
kal intizār sar-e-rahguzār karte rahe
diloñ meñ rah ga.ī be-nām sī ḳhalish koī
tujhe bhī pā ke tirā intizār karte rahe
hayāt DhūñDne vaale ajal se kyā Darte
isī zamīn ko bāġh-o-bahār karte rahe
gunah meñ Dhaal diye zāhidoñ ke ḳhvāb-e-hasīñ
amal kā ruup hameñ zar-nigār karte rahe
hameñ jo yaad bhī aa.e haiñ vo lab-o-ruḳhsār
to pahroñ minnat-e-jām-o-bahār karte rahe
qarār-e-ishq hai 'saifī' vo jān-e-mahbūbī
qarār kho ke jise be-qarār karte rahe
gham-e-firaq ko hum KHush-gawar karte rahe
tumhaare nam se zikr-e-bahaar karte rahe
KHirad ka kaam bhi aashufta-kar karte rahe
gham-e-habib-o-gham-e-rozgar karte rahe
kisi ne KHun se apna chaman saja bhi liya
bahut to shikwa-e-lail-o-nahaar karte rahe
tera suluk bhi ehsan hai magar ai dost
yahi suluk mere gham-gusar karte rahe
dilon mein yaad ki rahen bhi aaj suni hain
kal intizar sar-e-rahguzar karte rahe
dilon mein rah gai be-nam si KHalish koi
tujhe bhi pa ke tera intizar karte rahe
hayat DhunDne wale ajal se kya Darte
isi zamin ko bagh-o-bahaar karte rahe
gunah mein Dhaal diye zahidon ke KHwab-e-hasin
amal ka rup hamein zar-nigar karte rahe
hamein jo yaad bhi aae hain wo lab-o-ruKHsar
to pahron minnat-e-jam-o-bahaar karte rahe
qarar-e-ishq hai 'saifi' wo jaan-e-mahbubi
qarar kho ke jise be-qarar karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.