gham-e-firaq mein chehra niDhaal aisa tha
ġham-e-firāq meñ chehra niDhāl aisā thā
kuchh us ke sāmne dil kā savāl aisā thā
javāb dene se qāsir the aa.ine saare
vo ek chehra yahāñ be-misāl aisā thā
lahū kī aag meñ itnā tapā ki TuuT gayā
mire badan meñ bhī kuchh ishti.āl aisā thā
hamārī sub.h yahāñ kitnī shab-gazīda thī
tulū-e-mehr kā har-pal zavāl aisā thā
ik intishār kā mausam hai saarī bastī meñ
lahū meñ Duubā huā ab ke saal aisā thā
koī na baat banī us kī anjuman meñ 'nazar'
faqīh-e-shahr kā jāh-o-jalāl aisā thā
gham-e-firaq mein chehra niDhaal aisa tha
kuchh us ke samne dil ka sawal aisa tha
jawab dene se qasir the aaine sare
wo ek chehra yahan be-misal aisa tha
lahu ki aag mein itna tapa ki TuT gaya
mere badan mein bhi kuchh ishtial aisa tha
hamari subh yahan kitni shab-gazida thi
tulu-e-mehr ka har-pal zawal aisa tha
ek intishaar ka mausam hai sari basti mein
lahu mein Duba hua ab ke sal aisa tha
koi na baat bani us ki anjuman mein 'nazar'
faqih-e-shahr ka jah-o-jalal aisa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.