gham-e-firaq mein gar hum dahak rahe hote
ġham-e-firāq meñ gar ham dahak rahe hote
to āftāb se baḌh kar chamak rahe hote
badan kī sigḌī ke sho'loñ pe pak rahe hote
vo mere saath agar sub.h tak rahe hote
sukūn miltā hameñ jo ye kaash ho jaatā
ki ham bhī yaar ke dil kī kasak rahe hote
tirī nazar se utarnā bhī ek ne'mat hai
vagarna āñkhoñ meñ sab kī khaTak rahe hote
laboñ kā ras hameñ miltā to shahd hote ham
agar jo āñkhoñ meñ hote namak rahe hote
agar shajar jo na hote to ham se ḳhush-qismat
kisī kī zulf kisī kī palak rahe hote
sarā.e chhoḌī to ghar tak pahuñch sake haiñ ham
badan meñ rahte to ab tak bhaTak rahe hote
agar ye 'nūr' miyāñ aadmī na hote to
vo manziloñ se milātī saḌak rahe hote
gham-e-firaq mein gar hum dahak rahe hote
to aaftab se baDh kar chamak rahe hote
badan ki sigDi ke sho'lon pe pak rahe hote
wo mere sath agar subh tak rahe hote
sukun milta hamein jo ye kash ho jata
ki hum bhi yar ke dil ki kasak rahe hote
teri nazar se utarna bhi ek ne'mat hai
wagarna aankhon mein sab ki khaTak rahe hote
labon ka ras hamein milta to shahd hote hum
agar jo aankhon mein hote namak rahe hote
agar shajar jo na hote to hum se KHush-qismat
kisi ki zulf kisi ki palak rahe hote
sarae chhoDi to ghar tak pahunch sake hain hum
badan mein rahte to ab tak bhaTak rahe hote
agar ye 'nur' miyan aadmi na hote to
wo manzilon se milati saDak rahe hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.