gham-e-firaq mein jaan lab pe aai hai sahab
ġham-e-firāq meñ jaañ lab pe aa.ī hai sāhab
yahī to sā.at-e-mushkil-kushā.ī hai sāhab
sitam jo Dhāte ho āshiq pe tum ko kaun kahe
tumhāre saath to saarī ḳhudā.ī hai sāhab
bayān-e-sadma-e-furqat se dam nikaltā hai
na pūchhiye jo musībat uThā.ī hai sāhab
hazār chāhā pe ḳhanjar na chal sakā tum se
rag-e-gulū bhī mirī rang laa.ī hai sāhab
'zafar' se aap ko shikva ajiib baat hai ye
raqīb kī ye lagā.ī-bujhā.ī hai sāhab
gham-e-firaq mein jaan lab pe aai hai sahab
yahi to saat-e-mushkil-kushai hai sahab
sitam jo Dhate ho aashiq pe tum ko kaun kahe
tumhaare sath to sari KHudai hai sahab
bayan-e-sadma-e-furqat se dam nikalta hai
na puchhiye jo musibat uThai hai sahab
hazar chaha pe KHanjar na chal saka tum se
rag-e-gulu bhi meri rang lai hai sahab
'zafar' se aap ko shikwa ajib baat hai ye
raqib ki ye lagai-bujhai hai sahab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.