gham-e-firaq mein jaan se guzar gae hote
ġham-e-firāq meñ jaañ se guzar ga.e hote
tirā ḳhayāl na hotā to mar ga.e hote
sila diyā na vafā kā bajā kiyā varna
ham aap apne hī dil se utar ga.e hote
tavīl hotā agar aur zindagī kā safar
ġham-e-hayāt ke maare kidhar ga.e hote
shikast-e-jāñ kā tamāshā hī dekhnā thā agar
zarā sī der mirī jaañ Thahar ga.e hote
zamāna itnā bhī nā-qadr-o-nā-shanās na thā
jo 'bazm' koī baḌā kaam kar ga.e hote
gham-e-firaq mein jaan se guzar gae hote
tera KHayal na hota to mar gae hote
sila diya na wafa ka baja kiya warna
hum aap apne hi dil se utar gae hote
tawil hota agar aur zindagi ka safar
gham-e-hayat ke mare kidhar gae hote
shikast-e-jaan ka tamasha hi dekhna tha agar
zara si der meri jaan Thahar gae hote
zamana itna bhi na-qadr-o-na-shanas na tha
jo 'bazm' koi baDa kaam kar gae hote
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.