gham-e-hayat charagh-e-sahar mein KHak nahin
ġham-e-hayāt charāġh-e-sahar meñ ḳhaak nahīñ
ki husn raat ke pichhle pahar meñ ḳhaak nahīñ
purāne 'ahd kī qadroñ kā marsiya likhiye
bashar ke taur mizāj-e-bashar meñ ḳhaak nahīñ
use zuhūr se parhez hai to shikva kyā
talab jamāl kī zauq-e-nazar meñ ḳhaak nahīñ
usī ke ‘āriz-e-tābāñ ke sab karishme haiñ
mire makān ke dīvār-o-dar meñ ḳhaak nahīñ
javāb ke liye pathrā ga.iiñ mirī āñkheñ
shu’ūr-e-nāma-barī nāma-bar meñ ḳhaak nahīñ
ye aur baat ki raas aa.ī ham ġharīboñ ko
ḳhulūs gardish-e-shām-o-sahar meñ ḳhaak nahīñ
navāz de mujhe manzil to ye mirī taqdīr
ki zād-e-rāh to ab ke safar meñ ḳhaak nahīñ
kamā ke rakkhe haiñ do chaar ulTe sīdhe nuqūsh
bas aur kuchh mire dast-e-hunar meñ ḳhaak nahīñ
jo kah sako to isī ko matā'-e-jāñ kah lo
shikasta dil ke sivā mere ghar meñ ḳhaak nahīñ
bulandiyoñ ke ta'āvun kā ḳhvāb kyoñ dekheñ
sakat uḌaan kī jab bāl-o-par meñ ḳhaak nahīñ
jo mujh pe utrā hai maiñ us kī sharh kartā huuñ
agarche fā.eda arz-e-hunar meñ ḳhaak nahīñ
chale kisī pe bhī ḳhanjar mujhe taḌapnā hai
ġhalat ki dard kī lazzat jigar meñ ḳhaak nahīñ
ġham-e-hayāt se āzād ho gayā hai 'ra.īs'
'ajīb baat ki hairat ḳhabar meñ ḳhaak nahīñ
gham-e-hayat charagh-e-sahar mein KHak nahin
ki husn raat ke pichhle pahar mein KHak nahin
purane 'ahd ki qadron ka marsiya likhiye
bashar ke taur mizaj-e-bashar mein KHak nahin
use zuhur se parhez hai to shikwa kya
talab jamal ki zauq-e-nazar mein KHak nahin
usi ke ‘ariz-e-taban ke sab karishme hain
mere makan ke diwar-o-dar mein KHak nahin
jawab ke liye pathra gain meri aankhen
shu’ur-e-nama-bari nama-bar mein KHak nahin
ye aur baat ki ras aai hum gharibon ko
KHulus gardish-e-sham-o-sahar mein KHak nahin
nawaz de mujhe manzil to ye meri taqdir
ki zad-e-rah to ab ke safar mein KHak nahin
kama ke rakkhe hain do chaar ulTe sidhe nuqush
bas aur kuchh mere dast-e-hunar mein KHak nahin
jo kah sako to isi ko mata'-e-jaan kah lo
shikasta dil ke siwa mere ghar mein KHak nahin
bulandiyon ke ta'awun ka KHwab kyon dekhen
sakat uDan ki jab baal-o-par mein KHak nahin
jo mujh pe utra hai main us ki sharh karta hun
agarche faeda arz-e-hunar mein KHak nahin
chale kisi pe bhi KHanjar mujhe taDapna hai
ghalat ki dard ki lazzat jigar mein KHak nahin
gham-e-hayat se aazad ho gaya hai 'rais'
'ajib baat ki hairat KHabar mein KHak nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.