gham-e-hayat ka yun bhi kabhi sila mil jae
ġham-e-hayāt kā yuuñ bhī kabhī sila mil jaa.e
talāsh aag kī Thahre magar ḳhudā mil jaa.e
ajiib baat hai jab us ko bhūlnā chāhūñ
vo zehn-o-dil ke darīchoñ se jhāñktā mil jaa.e
muqāble meñ khaḌe haiñ hazār-hā fir.aun
ḳhudā kare ki mujhe bhī koī asā mil jaa.e
amal hī hai mirā īmān-e-zindagī yaaro
khañgāltā huuñ samundar na jaane kyā mil jaa.e
mujhe bhī aag kā dariyā ubuur karnā hai
uThā do aañkh ki mujh ko bhī hausla mil jaa.e
vo reg-zār jahāñ par ḳhirad ke paañv jaleñ
junūñ hamārā vahāñ bhī barahna-pā mil jaa.e
milegā jā ke samundar se fikr kā dariyā
chaTāneñ kaaT rahā hai ki rāsta mil jaa.e
ik-ek dar pe sadā de rahā huuñ ai 'mehdī'
koī to ḳhvāboñ kī bastī meñ jāgtā mil jaa.e
gham-e-hayat ka yun bhi kabhi sila mil jae
talash aag ki Thahre magar KHuda mil jae
ajib baat hai jab us ko bhulna chahun
wo zehn-o-dil ke darichon se jhankta mil jae
muqable mein khaDe hain hazar-ha firaun
KHuda kare ki mujhe bhi koi asa mil jae
amal hi hai mera iman-e-zindagi yaro
khangalta hun samundar na jaane kya mil jae
mujhe bhi aag ka dariya ubur karna hai
uTha do aankh ki mujh ko bhi hausla mil jae
wo reg-zar jahan par KHirad ke panw jalen
junun hamara wahan bhi barahna-pa mil jae
milega ja ke samundar se fikr ka dariya
chaTanen kaT raha hai ki rasta mil jae
ik-ek dar pe sada de raha hun ai 'mehdi'
koi to KHwabon ki basti mein jagta mil jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.