gham-e-hayat ke mathe pe hai shikan dekho
ġham-e-hayāt ke māthe pe hai shikan dekho
badal na jaa.e zamāne kā ye chalan dekho
hayāt naam hai kāñToñ pe raqs karne kā
guloñ ke saa.e meñ kāñToñ kī anjuman dekho
ye zard zard se chehre bhī muskurāte haiñ
tasavvurāt kī duniyā kā bāñkpan dekho
ḳhizāñ-badosh bahāreñ ravish ravish kāñTe
sañvar rahā hai na.e daur meñ chaman dekho
ye sard raat ye jalte hue badan 'sādiq'
nazar uThāo ġharīboñ kā bāñkpan dekho
gham-e-hayat ke mathe pe hai shikan dekho
badal na jae zamane ka ye chalan dekho
hayat nam hai kanTon pe raqs karne ka
gulon ke sae mein kanTon ki anjuman dekho
ye zard zard se chehre bhi muskuraate hain
tasawwuraat ki duniya ka bankpan dekho
KHizan-badosh bahaaren rawish rawish kanTe
sanwar raha hai nae daur mein chaman dekho
ye sard raat ye jalte hue badan 'sadiq'
nazar uThao gharibon ka bankpan dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.