gham-e-hayat ki aaKHir koi dawa bhi hai
ġham-e-hayāt kī āḳhir koī davā bhī hai
farār kā koī duniyā meñ rāstā bhī hai
ham uTh to jaa.eñ tirī bazm-e-nāz se lekin
tire baġhair koī apnā aasrā bhī hai
tirī nigāh meñ ThanDak hai chāñdnī kī sī
ye dil-fareb bhī hai aur dilrubā bhī hai
bahut satāyā huā huuñ maiñ jis sitamgar kā
usī kā shām-o-sahar lab pa tazkira bhī hai
kisī ġharīb kī suntā hai kab koī fariyād
ġharīb ko koī duniyā meñ pūchhtā bhī hai
kisī kī madh-bharī nazroñ ke jaam piitā hai
'bahār' rind bhī hai aur pārsā bhī hai
gham-e-hayat ki aaKHir koi dawa bhi hai
farar ka koi duniya mein rasta bhi hai
hum uTh to jaen teri bazm-e-naz se lekin
tere baghair koi apna aasra bhi hai
teri nigah mein ThanDak hai chandni ki si
ye dil-fareb bhi hai aur dilruba bhi hai
bahut sataya hua hun main jis sitamgar ka
usi ka sham-o-sahar lab pa tazkira bhi hai
kisi gharib ki sunta hai kab koi fariyaad
gharib ko koi duniya mein puchhta bhi hai
kisi ki madh-bhari nazron ke jam pita hai
'bahaar' rind bhi hai aur parsa bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.