gham-e-hayat mila fikr-o-agahi ban kar
ġham-e-hayāt milā fikr-o-āgahī ban kar
jo apnī shai thī milī mujh ko zindagī ban kar
ḳhud apnī zaat meñ hai zaḳhm-e-zindagī ban kar
ab aadmī bhī hirāsāñ hai aadmī ban kar
is ek shaḳhs ko chāhā thā TuuT kar maiñ ne
jo mere paas se guzrā hai ajnabī ban kar
us aarzū kī amānat sañbhāl kar rakkho
vo aarzū jo rahe dil meñ tishnagī ban kar
jahāñ jahāñ bhī tirī yaad saath saath ga.ī
qadam qadam pe milī dhuup chāñdnī ban kar
gham-e-hayat mila fikr-o-agahi ban kar
jo apni shai thi mili mujh ko zindagi ban kar
KHud apni zat mein hai zaKHm-e-zindagi ban kar
ab aadmi bhi hirasan hai aadmi ban kar
is ek shaKHs ko chaha tha TuT kar main ne
jo mere pas se guzra hai ajnabi ban kar
us aarzu ki amanat sanbhaal kar rakkho
wo aarzu jo rahe dil mein tishnagi ban kar
jahan jahan bhi teri yaad sath sath gai
qadam qadam pe mili dhup chandni ban kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.