gham-e-ishq mein nahin jo kisi nam tak na pahunche
gham-e-ishq mein nahin jo kisi nam tak na pahunche
Nawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
MORE BYNawab Syed Hakeem Ahmad Naqwi badayuni
ġham-e-ishq meñ nahīñ jo kisī naam tak na pahuñche
nahīñ yaad naam vo bhī jo salām tak na pahuñche
vo salām hī nahīñ hai jo payām tak na pahuñche
vo payām hī nahīñ hai jo kalām tak na pahuñche
vo kalām hī nahīñ hai jo tamām tak na pahuñche
vo tamām hī nahīñ hai jo davām tak na pahuñche
vo davām hī nahīñ hai jo mudām tak na pahuñche
vo mudām hī nahīñ jo tire naam tak na pahuñche
ye ḳhudā hī jaane vaa.iz ki huī namāz puurī
rahe mahv-e-sajda yuuñ ham ki salām tak na pahuñche
vahī dil hai jo na chāhe sar-e-bām husn aa.e
hai vahī nazar jo uTh kar lab-e-bām tak na pahuñche
tujhe sahl thā ye saaqī koī jaam ham tak aatā
hameñ kuchh to hogī mushkil tire jaam tak na pahuñche
vo tumhārī raah Thahrī na lage surāġh jis kā
ye hai rāsta hamārā jo maqām tak na pahuñche
tire naqsh-e-pā pe chalnā na huā kabhī mayassar
hamīñ apnī kaj-ravī se pa-e-gām tak na pahuñche
ye kamāl-e-be-ḳhudī hai ki natīja-e-ḳhudī hai
tujhe DhūñDte rahe yuuñ ki maqām tak na pahuñche
maiñ vo rind huuñ ki saaqī tirī baḳhshishoñ ke chhīñTe
mire zauq-o-shauq-e-durd-e-tah-e-jām tak na pahuñche
yahī āshiyāñ qafas hai hameñ is kī kyā ḳhushī hai
ki ham apnī be-parī se kabhī daam tak na pahuñche
mirā nāma-e-mohabbat na paḌhā unhoñ ne puurā
mujhe rah ga.ī ye hasrat mire naam tak na pahuñche
gham-e-ishq mein nahin jo kisi nam tak na pahunche
nahin yaad nam wo bhi jo salam tak na pahunche
wo salam hi nahin hai jo payam tak na pahunche
wo payam hi nahin hai jo kalam tak na pahunche
wo kalam hi nahin hai jo tamam tak na pahunche
wo tamam hi nahin hai jo dawam tak na pahunche
wo dawam hi nahin hai jo mudam tak na pahunche
wo mudam hi nahin jo tere nam tak na pahunche
ye KHuda hi jaane waiz ki hui namaz puri
rahe mahw-e-sajda yun hum ki salam tak na pahunche
wahi dil hai jo na chahe sar-e-baam husn aae
hai wahi nazar jo uTh kar lab-e-baam tak na pahunche
tujhe sahl tha ye saqi koi jam hum tak aata
hamein kuchh to hogi mushkil tere jam tak na pahunche
wo tumhaari rah Thahri na lage suragh jis ka
ye hai rasta hamara jo maqam tak na pahunche
tere naqsh-e-pa pe chalna na hua kabhi mayassar
hamin apni kaj-rawi se pa-e-gam tak na pahunche
ye kamal-e-be-KHudi hai ki natija-e-KHudi hai
tujhe DhunDte rahe yun ki maqam tak na pahunche
main wo rind hun ki saqi teri baKHshishon ke chhinTe
mere zauq-o-shauq-e-durd-e-tah-e-jam tak na pahunche
yahi aashiyan qafas hai hamein is ki kya KHushi hai
ki hum apni be-pari se kabhi dam tak na pahunche
mera nama-e-mohabbat na paDha unhon ne pura
mujhe rah gai ye hasrat mere nam tak na pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.