gham-e-ishq tu hi bata mujhe hai ye kya maqam KHabar nahin
gham-e-ishq tu hi bata mujhe hai ye kya maqam KHabar nahin
Mujeeb Shehzar
MORE BYMujeeb Shehzar
ġham-e-ishq tū hī batā mujhe hai ye kyā maqām ḳhabar nahīñ
yahāñ dard-e-dil kī davā nahīñ yahāñ shām-e-ġham kī sahar nahīñ
hai ye jaane kaisā ajab jahāñ yahāñ raaj kartī haiñ pastiyāñ
yahāñ be-ġharaz koī dil nahīñ na havas ho jis meñ vo sar nahīñ
tujhe kaise raah pe lā.ūñ maiñ tujhe kaise apnā banā.ūñ maiñ
koī mujh meñ aisī adā nahīñ koī aisā mujh meñ hunar nahīñ
maiñ ajiib ḳhāna-ba-dosh huuñ maiñ kisī kā huuñ na koī mirā
maiñ bhaTak rahā huuñ yahāñ vahāñ koī dar nahīñ koī ghar nahīñ
gham-e-ishq tu hi bata mujhe hai ye kya maqam KHabar nahin
yahan dard-e-dil ki dawa nahin yahan sham-e-gham ki sahar nahin
hai ye jaane kaisa ajab jahan yahan raj karti hain pastiyan
yahan be-gharaz koi dil nahin na hawas ho jis mein wo sar nahin
tujhe kaise rah pe laun main tujhe kaise apna banaun main
koi mujh mein aisi ada nahin koi aisa mujh mein hunar nahin
main ajib KHana-ba-dosh hun main kisi ka hun na koi mera
main bhaTak raha hun yahan wahan koi dar nahin koi ghar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.