gham-e-kaun-o-makan se fikr besh-o-kam se guzre hain
ġham-e-kaun-o-makāñ se fikr besh-o-kam se guzre haiñ
faqat ik jaam meñ ham kitne hī aalam se guzre haiñ
guzargāh-e-tamannā meñ gulistāñ ho ki zindāñ ho
jidhar guzre haiñ dīvāne isī dam-ḳham se guzre haiñ
zamāna āshnā hai sirf ashkoñ ke talātum se
vo tūfāñ aur haiñ jo dīda-e-be-nam se guzre haiñ
guzarnā ḳhāk-e-dil se shāyad un ko baar guzrā hai
nishān-e-pā batāte haiñ ki kuchh barham se guzre haiñ
hameñ ai gardish-e-daurāñ gayā-guzrā na jaan itnā
guzarne par jab aa.e haiñ to har aalam se guzre haiñ
kise kahte haiñ vaqtoñ kī nazākat aap kyā jāneñ
hamī vāqif haiñ ham kis kis maqām-e-ġham se guzre haiñ
bahāroñ kī tamannā meñ luTī thī zindagī jin kī
bahār aa.ī to raqs-e-sho.ala-o-shabnam se guzre haiñ
nazar ko raushnī kyā 'shauq' deñge Dūbte taare
ka.ī sūraj hamāre sāmne maddham se guzre haiñ
gham-e-kaun-o-makan se fikr besh-o-kam se guzre hain
faqat ek jam mein hum kitne hi aalam se guzre hain
guzargah-e-tamanna mein gulistan ho ki zindan ho
jidhar guzre hain diwane isi dam-KHam se guzre hain
zamana aashna hai sirf ashkon ke talatum se
wo tufan aur hain jo dida-e-be-nam se guzre hain
guzarna KHak-e-dil se shayad un ko bar guzra hai
nishan-e-pa batate hain ki kuchh barham se guzre hain
hamein ai gardish-e-dauran gaya-guzra na jaan itna
guzarne par jab aae hain to har aalam se guzre hain
kise kahte hain waqton ki nazakat aap kya jaanen
hami waqif hain hum kis kis maqam-e-gham se guzre hain
bahaaron ki tamanna mein luTi thi zindagi jin ki
bahaar aai to raqs-e-shoala-o-shabnam se guzre hain
nazar ko raushni kya 'shauq' denge Dubte tare
kai suraj hamare samne maddham se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.