gham-e-qismat gham-e-duniya gham-e-jaanan le kar
gham-e-qismat gham-e-duniya gham-e-jaanan le kar
Ghulam Yahya Anjum
MORE BYGhulam Yahya Anjum
ġham-e-qismat ġham-e-duniyā ġham-e-jānāñ le kar
phir rahā huuñ maiñ zamāne meñ ye sāmāñ le kar
aaj nikle haiñ sañvar kar vo ḳhudā ḳhair kare
husn kī Dhaal liye chashm kī paikāñ le kar
hai mirā da.avā nahīñ pāoge mujh sā koī
DhūñDhne nikloge gar sham-e-farozāñ le kar
kyā kahūñ husn-e-shab-e-vasl bas itnā samjho
ek bijlī thī magar sūrat-e-insāñ le kar
jaane kis baat pe be-sāḳhta ho kar barham
uTh ga.e bazm se vo halqa-e-yārāñ le kar
jaane kyā kyā the irāde mire dil meñ lekin
rah gayā yuñhī magar hasrat-o-armāñ le kar
laakh nazroñ meñ basā leñ ki samo leñ dil meñ
vo nikal jaate haiñ chupke se dil-o-jāñ le kar
jab sunā.ī na de bulbul kā tarāna 'anjum'
kyā kareñge gul-o-gulzār-o-gulistāñ le kar
gham-e-qismat gham-e-duniya gham-e-jaanan le kar
phir raha hun main zamane mein ye saman le kar
aaj nikle hain sanwar kar wo KHuda KHair kare
husn ki Dhaal liye chashm ki paikan le kar
hai mera dawa nahin paoge mujh sa koi
DhunDhne nikloge gar sham-e-farozan le kar
kya kahun husn-e-shab-e-wasl bas itna samjho
ek bijli thi magar surat-e-insan le kar
jaane kis baat pe be-saKHta ho kar barham
uTh gae bazm se wo halqa-e-yaran le kar
jaane kya kya the irade mere dil mein lekin
rah gaya yunhi magar hasrat-o-arman le kar
lakh nazron mein basa len ki samo len dil mein
wo nikal jate hain chupke se dil-o-jaan le kar
jab sunai na de bulbul ka tarana 'anjum'
kya karenge gul-o-gulzar-o-gulistan le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.