gham-e-ulfat hai sabab KHalq mein ruswai ka
gham-e-ulfat hai sabab KHalq mein ruswai ka
Syed Masood Hasan Masood
MORE BYSyed Masood Hasan Masood
ġham-e-ulfat hai sabab ḳhalq meñ rusvā.ī kā
naam badnām huā kyoñ shab-e-tanhā.ī kā
TukḌe TukḌe hai jigar aap ke saudā.ī kā
sāmnā aaj bhī hai hashr meñ rusvā.ī kā
maut aatī hai na imkāñ hai shakebā.ī kā
aag lag jaa.e burā ho shab-e-tanhā.ī kā
dil ke TukḌe na karo husn kī zīnat hai yahī
aa.ina TuuTā to kyā lutf ḳhud-ārā.ī kā
paḌ ga.ī ahl-e-qayāmat kī garebāñ pe nazar
chhiḌ gayā hashr meñ qissa mirī rusvā.ī kā
phir kashish ne dar-e-mahbūb kī khīñchā dil ko
phir huā zauq hameñ nāsiya-farsā.ī kā
ghaTtī jaatī hai charāġh-e-dil-e-sozāñ kī ziyā
baḌhtā jaatā hai añdherā shab-e-tanhā.ī kā
kyoñ na insān ho mushtāq-e-tilism-e-duniyā
dil bahaltā hai tamāshe se tamāshā.ī kā
chhā ga.ī zulmat-e-ġham dil pe ḳhudā ḳhair kare
aa gayā chāñd gahan meñ shab-e-tanhā.ī kā
hālat-e-naza.a hai dam toḌ rahā hai bīmār
nā-tavānī meñ ye 'ālam hai tavānā.ī kā
kar chuke aap hamārā dil-e-murda zinda
saath 'iisā ke gayā daur masīhā.ī kā
aañkh meñ maut kī phir jaatī hai sūrat ab tak
ba-ḳhudā naam burā hai shab-e-tanhā.ī kā
ḳhair itnā to huā mashq-e-jafā se hāsil
aa gayā tum ko salīqa sitam-ārā.ī kā
aaj hai kal se ġhanīmat ye sunā jaatā hai
dūr-az-hāl mizāj aap ke saudā.ī kā
le gayā husn-e-ḳhudā-dād butoñ kā 'mas.ūd'
maqdarat sabr kī imkān shakebā.ī kā
gham-e-ulfat hai sabab KHalq mein ruswai ka
nam badnam hua kyon shab-e-tanhai ka
TukDe TukDe hai jigar aap ke saudai ka
samna aaj bhi hai hashr mein ruswai ka
maut aati hai na imkan hai shakebai ka
aag lag jae bura ho shab-e-tanhai ka
dil ke TukDe na karo husn ki zinat hai yahi
aaina TuTa to kya lutf KHud-arai ka
paD gai ahl-e-qayamat ki gareban pe nazar
chhiD gaya hashr mein qissa meri ruswai ka
phir kashish ne dar-e-mahbub ki khincha dil ko
phir hua zauq hamein nasiya-farsai ka
ghaTti jati hai charagh-e-dil-e-sozan ki ziya
baDhta jata hai andhera shab-e-tanhai ka
kyon na insan ho mushtaq-e-tilism-e-duniya
dil bahalta hai tamashe se tamashai ka
chha gai zulmat-e-gham dil pe KHuda KHair kare
aa gaya chand gahan mein shab-e-tanhai ka
haalat-e-naza hai dam toD raha hai bimar
na-tawani mein ye 'alam hai tawanai ka
kar chuke aap hamara dil-e-murda zinda
sath 'isa ke gaya daur masihai ka
aankh mein maut ki phir jati hai surat ab tak
ba-KHuda nam bura hai shab-e-tanhai ka
KHair itna to hua mashq-e-jafa se hasil
aa gaya tum ko saliqa sitam-arai ka
aaj hai kal se ghanimat ye suna jata hai
dur-az-haal mizaj aap ke saudai ka
le gaya husn-e-KHuda-dad buton ka 'masud'
maqdarat sabr ki imkan shakebai ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.