gham-ha-e-rozgar se fursat nahin mujhe
ġham-hā-e-rozgār se fursat nahīñ mujhe
maiñ kaise kah duuñ tum se mohabbat nahīñ mujhe
apno kī sāzishoñ se hī masrūf-e-jañg huuñ
ġhairoñ se dushmanī kī zarūrat nahīñ mujhe
dil meñ abhī chubhe haiñ vo alfāz tiir se
tū ne kahā thā jab tirī chāhat nahīñ mujhe
pinhāñ haiñ kunj-e-dil meñ ka.ī dard-e-lā-davā
be-vaj.h muskurāne kī aadat nahīñ mujhe
sauġhāt-e-zaḳhm-e-dil to muqaddar kī baat hai
ai yaar tujh se koī shikāyat nahīñ mujhe
tanhā.iyoñ se mujh ko rifāqat sī ho ga.ī
'ārif' siyāh shab se bhī vahshat nahīñ mujhe
gham-ha-e-rozgar se fursat nahin mujhe
main kaise kah dun tum se mohabbat nahin mujhe
apno ki sazishon se hi masruf-e-jang hun
ghairon se dushmani ki zarurat nahin mujhe
dil mein abhi chubhe hain wo alfaz tir se
tu ne kaha tha jab teri chahat nahin mujhe
pinhan hain kunj-e-dil mein kai dard-e-la-dawa
be-wajh muskurane ki aadat nahin mujhe
saughat-e-zaKHm-e-dil to muqaddar ki baat hai
ai yar tujh se koi shikayat nahin mujhe
tanhaiyon se mujh ko rifaqat si ho gai
'arif' siyah shab se bhi wahshat nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.