gham hai ya phir ye gham-shanasi hai
ġham hai yā phir ye ġham-shanāsī hai
mere andar bahut udāsī hai
bāñjh manzar bhī dekh kar ḳhush huuñ
jaane kaisī ye bad-havāsī hai
ḳhāmushī kā tavīl jangal hai
aur kahīñ duur ik sadā sī hai
aur kuchh der meñ nahīñ hogī
mujh pe jo tāzgī zarā sī hai
maiñ bhī bandoñ se pyaar kartā huuñ
ik sifat mujh meñ ye ḳhudā sī hai
nazm ġhazleñ fasāne likhnā bhī
ek tarah kī be-libāsī hai
gham hai ya phir ye gham-shanasi hai
mere andar bahut udasi hai
banjh manzar bhi dekh kar KHush hun
jaane kaisi ye bad-hawasi hai
KHamushi ka tawil jangal hai
aur kahin dur ek sada si hai
aur kuchh der mein nahin hogi
mujh pe jo tazgi zara si hai
main bhi bandon se pyar karta hun
ek sifat mujh mein ye KHuda si hai
nazm ghazlen fasane likhna bhi
ek tarah ki be-libasi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.