gham hi gham hai poshida har KHushi ke parde mein
gham hi gham hai poshida har KHushi ke parde mein
Ghulam Mustafa Beg Sabir Barari
MORE BYGhulam Mustafa Beg Sabir Barari
ġham hī ġham hai poshīda har ḳhushī ke parde meñ
maut hī nazar aa.ī zindagī ke parde meñ
muskurā rahe haiñ vo mujh se pher kar nazreñ
kuchh navāzisheñ bhī haiñ be-ruḳhī ke parde meñ
safha-e-adab us ke naam ko jagah degā
jo kahe baḌī bāteñ sādgī ke parde meñ
mutma.in raho yaaro ham kabhī kisī se bhī
dushmanī nahīñ karte dostī ke parde meñ
baaz aa ga.e 'sābir' tum sanam-parastī se
ye daroġh-goī hai rāstī ke parde meñ
gham hi gham hai poshida har KHushi ke parde mein
maut hi nazar aai zindagi ke parde mein
muskura rahe hain wo mujh se pher kar nazren
kuchh nawazishen bhi hain be-ruKHi ke parde mein
safha-e-adab us ke nam ko jagah dega
jo kahe baDi baaten sadgi ke parde mein
mutmain raho yaro hum kabhi kisi se bhi
dushmani nahin karte dosti ke parde mein
baz aa gae 'sabir' tum sanam-parasti se
ye darogh-goi hai rasti ke parde mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.