gham is ka kuchh nahin hai ki main kaam aa gaya
ġham is kā kuchh nahīñ hai ki maiñ kaam aa gayā
ġham ye hai qātiloñ meñ tirā naam aa gayā
jugnū jale bujhe mirī palkoñ pe sub.h tak
jab bhī tirā ḳhayāl sar-e-shām aa gayā
mahsūs kar rahā huuñ maiñ ḳhushbū kī bāzgasht
shāyad tire laboñ pe mirā naam aa gayā
kuchh dostoñ ne pūchhā batāo ġhazal hai kyā
be-sāḳhta laboñ pe tirā naam aa gayā
maiñ ne to ek laash kī dī thī ḳhabar 'farāz'
ulTā mujhī pe qatl kā ilzām aa gayā
gham is ka kuchh nahin hai ki main kaam aa gaya
gham ye hai qatilon mein tera nam aa gaya
jugnu jale bujhe meri palkon pe subh tak
jab bhi tera KHayal sar-e-sham aa gaya
mahsus kar raha hun main KHushbu ki bazgasht
shayad tere labon pe mera nam aa gaya
kuchh doston ne puchha batao ghazal hai kya
be-saKHta labon pe tera nam aa gaya
main ne to ek lash ki di thi KHabar 'faraaz'
ulTa mujhi pe qatl ka ilzam aa gaya
- Book : Kashkol (Pg. 61)
- Author : Tahir Faraz
- Publication : Isteara Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.