gham kahin samt-e-safar thi rahbar koi na tha
ġham kahīñ samt-e-safar thī rāhbar koī na thā
ek sahrā-e-alam thā ham-safar koī na thā
us ko bhī ham ne yahī samjhā tamāshā hai koī
jab khulīñ āñkheñ nishān-e-sañg-e-dar koī na thā
vaqt ham ko Thokaroñ par Thokareñ detā rahā
aur apne haath meñ tīr-o-tabar koī na thā
qarya-e-bedād-ḳhvāhāñ kī shikāyat hai abas
shahr-e-ham-dardāñ meñ bhī to chārāgar koī na thā
dhajjiyāñ uḌtī rahīñ jaib-o-garebāñ kī mire
rok detā bazm meñ āshufta-sar koī na thā
mere rāzoñ meñ na koī raaz baaqī rah gayā
ham-nashīnoñ meñ mire nā-mo'tabar koī na thā
is liye ham nargis-e-bīmār ke qaa.il hue
us ke jaisā bhī chaman meñ dīda-var koī na thā
dil ke zaḳhmoñ ko atā karnā thā lafzoñ kā libās
aur 'az.har' maqsad-e-arz-e-hunar koī na thā
gham kahin samt-e-safar thi rahbar koi na tha
ek sahra-e-alam tha ham-safar koi na tha
us ko bhi hum ne yahi samjha tamasha hai koi
jab khulin aankhen nishan-e-sang-e-dar koi na tha
waqt hum ko Thokaron par Thokaren deta raha
aur apne hath mein tir-o-tabar koi na tha
qarya-e-bedad-KHwahan ki shikayat hai abas
shahr-e-ham-dardan mein bhi to chaaragar koi na tha
dhajjiyan uDti rahin jaib-o-gareban ki mere
rok deta bazm mein aashufta-sar koi na tha
mere raazon mein na koi raaz baqi rah gaya
ham-nashinon mein mere na-mo'tabar koi na tha
is liye hum nargis-e-bimar ke qail hue
us ke jaisa bhi chaman mein dida-war koi na tha
dil ke zaKHmon ko ata karna tha lafzon ka libas
aur 'azhar' maqsad-e-arz-e-hunar koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.