gham ke andhere chhanTne chanda bhi aaega
ġham ke añdhere chhāñTne chandā bhī aa.egā
aañsū sañbhālne mire dariyā bhī aa.egā
rahtā nahīñ hai koī bhī ghuTnoñ ke bal sadā
ai tifl tujh ko jald hī chalnā bhī aa.egā
haiñ vaqt ke mizāj meñ tabdīliyāñ janāb
hai aaj ye burā to kal achchhā bhī aa.egā
kāTegā sar jo zulm kā jo haq karegā aam
koī to rahnumā kabhī aisā bhī aa.egā
ḳhāmoshiyāñ satā.eñgī ‘muskān’ jis ghaḌī
tab yaad tujh ko ye mirā shikva bhī aa.egā
gham ke andhere chhanTne chanda bhi aaega
aansu sanbhaalne mere dariya bhi aaega
rahta nahin hai koi bhi ghuTnon ke bal sada
ai tifl tujh ko jald hi chalna bhi aaega
hain waqt ke mizaj mein tabdiliyan janab
hai aaj ye bura to kal achchha bhi aaega
kaTega sar jo zulm ka jo haq karega aam
koi to rahnuma kabhi aisa bhi aaega
KHamoshiyan sataengi ‘muskan’ jis ghaDi
tab yaad tujh ko ye mera shikwa bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.