gham ke sunsan bayaban se nikalta hi nahin
ġham ke sunsān bayābāñ se nikaltā hī nahīñ
dil mirā dard ke tūfāñ se sañbhaltā hī nahīñ
'ishq kī ātish-e-ḳhāmosh hai kab se raushan
magar ehsās kā sho'la hai ki jaltā hī nahīñ
har taraf dhund hai ashkoñ kī farāvānī se
dil-e-betāb sarāboñ se bahaltā hī nahīñ
talḳhiyāñ ahl-e-zamāna se vo jhelī haiñ na pūchh
dil mirā fasl-e-bahārāñ meñ machaltā hī nahīñ
kab se hālāt-e-zamāna haiñ digar-gūñ lekin
dil kā mausam kisī hālat meñ badaltā hī nahīñ
kyā kahūñ darpai-e-āzār hai duniyā 'shāhīn'
aadmī qaid-e-zamāna se nikaltā hī nahīñ
gham ke sunsan bayaban se nikalta hi nahin
dil mera dard ke tufan se sanbhalta hi nahin
'ishq ki aatish-e-KHamosh hai kab se raushan
magar ehsas ka sho'la hai ki jalta hi nahin
har taraf dhund hai ashkon ki farawani se
dil-e-betab sarabon se bahalta hi nahin
talKHiyan ahl-e-zamana se wo jheli hain na puchh
dil mera fasl-e-bahaaran mein machalta hi nahin
kab se haalat-e-zamana hain digar-gun lekin
dil ka mausam kisi haalat mein badalta hi nahin
kya kahun darpai-e-azar hai duniya 'shahin'
aadmi qaid-e-zamana se nikalta hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.