gham ke tapte hue sahra se nikale mujhko
ġham ke tapte hue sahrā se nikāle mujh ko
kyā koī hai jo nigāhoñ meñ chhupā le mujh ko
kaisī ma.asūm tamannā hai dil-e-nādāñ kī
maiñ jo bikhrūñ to vahī aa ke sañbhāle mujh ko
rasm-e-ulfat to kabhī vo bhī nibhā.e aa kar
maiñ ḳhafā huuñ to kabhī vo bhī manā le mujh ko
tū mujhe chhoḌ ke gumnām na ho jaa.e kahīñ
terī pahchān huuñ māthe pe sajā le mujh ko
terī mahfil meñ añdhere kī shikāyat kyoñ ho
maiñ tirā diip huuñ jab chāhe jalā le mujh ko
terī halkī sī tavajjoh bhī mujhe kaafī hai
be-ruḳhī terī kahīñ maar na Daale mujh ko
thak ke ruknā rah-e-ulfat meñ sitam hai anvar
dars dete haiñ mire paañv ke chhāle mujh ko
gham ke tapte hue sahra se nikale mujh ko
kya koi hai jo nigahon mein chhupa le mujh ko
kaisi masum tamanna hai dil-e-nadan ki
main jo bikhrun to wahi aa ke sanbhaale mujh ko
rasm-e-ulfat to kabhi wo bhi nibhae aa kar
main KHafa hun to kabhi wo bhi mana le mujh ko
tu mujhe chhoD ke gumnam na ho jae kahin
teri pahchan hun mathe pe saja le mujh ko
teri mahfil mein andhere ki shikayat kyon ho
main tera dip hun jab chahe jala le mujh ko
teri halki si tawajjoh bhi mujhe kafi hai
be-ruKHi teri kahin mar na Dale mujh ko
thak ke rukna rah-e-ulfat mein sitam hai anwar
dars dete hain mere panw ke chhaale mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.