gham ke tufan dil-e-muztar mein Thahar jate hain
ġham ke tūfāñ dil-e-muztar meñ Thahar jaate haiñ
aish ke lamhe to pal bhar meñ guzar jaate haiñ
haif-sad-haif ki nā-qadri-e-fan ke hāthoñ
kitne fankār lahū thuuk ke mar jaate haiñ
vo pahuñch sakte nahīñ bām-e-taraqqī pe kabhī
vaqt ke ziine se jo log utar jaate haiñ
ahl-e-dānish pe uThātā nahīñ uñglī koī
jitne ilzām haiñ dīvānoñ ke sar jaate haiñ
azm-o-himmat ko banā lete haiñ jo rāh-numā
saḳht rāhoñ se bhī hañs hañs ke guzar jaate haiñ
apne ehsās ke jalte hue vīrāne meñ
ḳhushk pattoñ kī tarah log bikhar jaate haiñ
jab shab-e-ġham meñ mujhe terā ḳhayāl aatā hai
merī tanhā.ī ke lamhāt sañvar jaate haiñ
tohfa-e-mahr-o-vafā kaun yahāñ detā hai
dil kā kashkol liye aap kidhar jaate haiñ
kis tarah vaqt kī Thokar vo kareñge bardāsht
dil dhaḌakne kī sadā sun ke jo Dar jaate haiñ
un ke saa.e se bhī tum duur raho ai 'ma.asūm'
apne va.ade se jo ahbāb mukar jaate haiñ
gham ke tufan dil-e-muztar mein Thahar jate hain
aish ke lamhe to pal bhar mein guzar jate hain
haif-sad-haif ki na-qadri-e-fan ke hathon
kitne fankar lahu thuk ke mar jate hain
wo pahunch sakte nahin baam-e-taraqqi pe kabhi
waqt ke zine se jo log utar jate hain
ahl-e-danish pe uThata nahin ungli koi
jitne ilzam hain diwanon ke sar jate hain
azm-o-himmat ko bana lete hain jo rah-numa
saKHt rahon se bhi hans hans ke guzar jate hain
apne ehsas ke jalte hue virane mein
KHushk patton ki tarah log bikhar jate hain
jab shab-e-gham mein mujhe tera KHayal aata hai
meri tanhai ke lamhat sanwar jate hain
tohfa-e-mahr-o-wafa kaun yahan deta hai
dil ka kashkol liye aap kidhar jate hain
kis tarah waqt ki Thokar wo karenge bardasht
dil dhaDakne ki sada sun ke jo Dar jate hain
un ke sae se bhi tum dur raho ai 'masum'
apne wade se jo ahbab mukar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.