gham ki aaghosh mein jo palte hain
gham ki aaghosh mein jo palte hain
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
ġham kī āġhosh meñ jo palte haiñ
vahī duniyā kā ruḳh badalte haiñ
ḳhaar to kyā haiñ ham guloñ se bhī
apnā dāman bachā ke chalte haiñ
inhī ḳhāmosh sī fazāoñ meñ
kitne tūfān haiñ jo palte haiñ
laakh kāñTe bichhe hoñ rāhoñ meñ
chalne vaale zarūr chalte haiñ
manzileñ chūmtī haiñ un ke qadam
aap jo apnī raah chalte haiñ
haiñ vahī asl meñ zamāna-shanās
jo zamāne ke saath chalte haiñ
un ko miltī hai zindagī-e-davām
Thokareñ khā ke jo sañbhalte haiñ
sho.abde dekh chashm-e-sāqī ke
mai chhalaktī hai jaam chalte haiñ
ḳhauf se rahzanoñ ke ai 'jauhar'
ham kahīñ rāsta badalte haiñ
gham ki aaghosh mein jo palte hain
wahi duniya ka ruKH badalte hain
KHar to kya hain hum gulon se bhi
apna daman bacha ke chalte hain
inhi KHamosh si fazaon mein
kitne tufan hain jo palte hain
lakh kanTe bichhe hon rahon mein
chalne wale zarur chalte hain
manzilen chumti hain un ke qadam
aap jo apni rah chalte hain
hain wahi asl mein zamana-shanas
jo zamane ke sath chalte hain
un ko milti hai zindagi-e-dawam
Thokaren kha ke jo sanbhalte hain
shoabde dekh chashm-e-saqi ke
mai chhalakti hai jam chalte hain
KHauf se rahzanon ke ai 'jauhar'
hum kahin rasta badalte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.