gham ki dhup aur gham ke shajar baKHsh de
ġham kī dhuup aur ġham ke shajar baḳhsh de
mujh ko maqtal kī sab rahguzar baḳhsh de
pheñk kar koī patthar na māyūs ho
dil kī shāḳhoñ meñ itne samar baḳhsh de
saare chehre yahāñ āshnā ban ga.e
ajnabī shahr kā ab safar baḳhsh de
ab chaTānoñ meñ ābādiyāñ Dhal ga.iiñ
mujh ko tesha-garī kā hunar baḳhsh de
muḌ ke dekhūñ to patthar kā ban jā.ūñ maiñ
ik sadā aisī bhī mo'atabar baḳhsh de
rut badalte rafīq-e-qalam ko mire
ik mirā e'tibār-e-nazar baḳhsh de
kaam aa.eñ jo ġhairoñ ke mere sivā
in duāoñ meñ merī asar baḳhsh de
pyaas hī pyaas hai jab muqaddar mirā
karbalā kī mujhe dopahar baḳhsh de
gham ki dhup aur gham ke shajar baKHsh de
mujh ko maqtal ki sab rahguzar baKHsh de
phenk kar koi patthar na mayus ho
dil ki shaKHon mein itne samar baKHsh de
sare chehre yahan aashna ban gae
ajnabi shahr ka ab safar baKHsh de
ab chaTanon mein aabaadiyan Dhal gain
mujh ko tesha-gari ka hunar baKHsh de
muD ke dekhun to patthar ka ban jaun main
ek sada aisi bhi mo'atabar baKHsh de
rut badalte rafiq-e-qalam ko mere
ek mera e'tibar-e-nazar baKHsh de
kaam aaen jo ghairon ke mere siwa
in duaon mein meri asar baKHsh de
pyas hi pyas hai jab muqaddar mera
karbala ki mujhe dopahar baKHsh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.