gham ki gahrai mein jis roz utar jaunga
ġham kī gahrā.ī meñ jis roz utar jā.uñgā
ban ke ḳhushbū maiñ zamāne meñ bikhar jā.uñgā
had se baḌh jā.egā jab mere junūñ kā 'ālam
sang māregā zamāna maiñ jidhar jā.uñgā
tū mujhe chhoḌ ke mat jaanā ġham-e-jānānāñ
tujh se bichhḌā to maiñ tanhā.ī meñ mar jā.uñgā
vaqt ke saath badal jā.egī sūraj kī tapish
vaqt kī dhuup meñ jal kar maiñ nikhar jā.uñgā
jin ke saa.e meñ sukūñ paa.eñ zamāne vaale
pyaar ke aise lagā ke maiñ shajar jā.uñgā
maiñ akelā na chalūñgā rah-e-ulfat meñ 'na'īm'
ġham mire saath chaleñge maiñ jidhar jā.uñgā
gham ki gahrai mein jis roz utar jaunga
ban ke KHushbu main zamane mein bikhar jaunga
had se baDh jaega jab mere junun ka 'alam
sang marega zamana main jidhar jaunga
tu mujhe chhoD ke mat jaana gham-e-jaananan
tujh se bichhDa to main tanhai mein mar jaunga
waqt ke sath badal jaegi suraj ki tapish
waqt ki dhup mein jal kar main nikhar jaunga
jin ke sae mein sukun paen zamane wale
pyar ke aise laga ke main shajar jaunga
main akela na chalunga rah-e-ulfat mein 'na'im'
gham mere sath chalenge main jidhar jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.