gham ki sau bar choT khai hai
ġham kī sau baar choT khaa.ī hai
zindagī phir bhī muskurā.ī hai
aañkh bhar aa.ī dil pe choT lagī
jaane kyā baat yaad aa.ī hai
gul bhī sharmā.eñ un se aise meñ
kyā hī andāz-e-dil-rubā.ī hai
vo jo gulshan meñ aa.e maiñ samjhā
mast o ḳhandāñ bahār aa.ī hai
zahr-e-ġham khā ke maiñ to jī lūñgā
tum ne sūrat ye kyā banā.ī hai
daulat-e-ishq yuuñ nahīñ paa.ī
jaan de kar ye haath aa.ī hai
paañv aa kar junūñ ne thaam liye
jis jagah aql Dagmagā.ī hai
bañdh gayā hai tasavvur-e-jānāñ
ik ajab be-ḳhudī sī chhā.ī hai
sher kahte ho rāt-din 'āqil'
kyā tabī.at ye tum ne paa.ī hai
gham ki sau bar choT khai hai
zindagi phir bhi muskurai hai
aankh bhar aai dil pe choT lagi
jaane kya baat yaad aai hai
gul bhi sharmaen un se aise mein
kya hi andaz-e-dil-rubai hai
wo jo gulshan mein aae main samjha
mast o KHandan bahaar aai hai
zahr-e-gham kha ke main to ji lunga
tum ne surat ye kya banai hai
daulat-e-ishq yun nahin pai
jaan de kar ye hath aai hai
panw aa kar junun ne tham liye
jis jagah aql Dagmagai hai
bandh gaya hai tasawwur-e-jaanan
ek ajab be-KHudi si chhai hai
sher kahte ho raat-din 'aqil'
kya tabiat ye tum ne pai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.