gham kisi ka miTa kar to dekho
ġham kisī kā miTā kar to dekho
apne ġham ko bhulā kar to dekho
rang chehre kā zāhir karegā
rāz-e-ulfat chhupā kar to dekho
tum se saarā zamāna jalegā
nām-o-shohrat kamā kar to dekho
dost dushman kī pahchān hogī
dard apnā sunā kar to dekho
ik zarā muskurāhaT se apnī
ranjishoñ ko haTā kar to dekho
'aib auroñ ke ginñe se pahle
ḳhud se nazreñ milā kar to dekho
be-ḳhudī chiiz hotī hai kaisī
dil kisī par luTā kar to dekho
log kaise badalte haiñ 'monā'
koī rishta nibhā kar to dekho
gham kisi ka miTa kar to dekho
apne gham ko bhula kar to dekho
rang chehre ka zahir karega
raaz-e-ulfat chhupa kar to dekho
tum se sara zamana jalega
nam-o-shohrat kama kar to dekho
dost dushman ki pahchan hogi
dard apna suna kar to dekho
ek zara muskurahaT se apni
ranjishon ko haTa kar to dekho
'aib auron ke ginne se pahle
KHud se nazren mila kar to dekho
be-KHudi chiz hoti hai kaisi
dil kisi par luTa kar to dekho
log kaise badalte hain 'mona'
koi rishta nibha kar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.