gham ko ghazlon mein saja kar husn paida kar liya
ġham ko ġhazloñ meñ sajā kar husn paidā kar liyā
maiñ ne apne dard kā bhī ik tamāsha kar liyā
maiñ ne bhī maiñ Thiik huuñ kah kar nigāheñ pher liiñ
tū ne bhī is jhuuT par rasman bharosa kar liyā
justujū terī thī phir kyā dhuup kaisī tishnagī
vus.at-e-sahrā meñ in āñkhoñ ko dariyā kar liyā
ik ta'alluq yaad kā bachtā hai jis par bas nahīñ
baaqī jaisā tū ne chāhā maiñ ne vaisā kar liyā
kitnī hī be-ḳhvāb rāteñ bad-havāsī shā.erī
ḳhud ko terī yaad meñ 'jaun-eliyā' sā kar liyā
mutrib-e-sāz-e-shikasta shā.ir-e-āshufta-sar
ik tirī furqat meñ maiñ ne ḳhud ko kyā kyā kar liyā
gham ko ghazlon mein saja kar husn paida kar liya
main ne apne dard ka bhi ek tamasha kar liya
main ne bhi main Thik hun kah kar nigahen pher lin
tu ne bhi is jhuT par rasman bharosa kar liya
justuju teri thi phir kya dhup kaisi tishnagi
wusat-e-sahra mein in aankhon ko dariya kar liya
ek ta'alluq yaad ka bachta hai jis par bas nahin
baqi jaisa tu ne chaha main ne waisa kar liya
kitni hi be-KHwab raaten bad-hawasi shaeri
KHud ko teri yaad mein 'jaun-eliya' sa kar liya
mutrib-e-saz-e-shikasta shair-e-ashufta-sar
ek teri furqat mein main ne KHud ko kya kya kar liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.