gham ko parde mein masarrat ke chhupa deta hun main
ġham ko parde meñ masarrat ke chhupā detā huuñ maiñ
aañsū āñkhoñ meñ jab aa.e muskurā detā huuñ maiñ
zindagī kī rāhateñ kyā zindagī tak bhī nisār
yaad jab aate ho tum sab kuchh bhulā detā huuñ maiñ
haañ isī chup meñ jo be-ma.anī hai auroñ ke liye
kaam jis se hai use sab kuchh sunā detā huuñ maiñ
ronā aatā thā jab apne haal par vo din ga.e
ab to barbādī pe apnī muskurā detā huuñ maiñ
aa ga.ī ashkoñ meñ laalī hasratoñ ke ḳhuun kī
dil kī jo hālat hai āñkhoñ se dikhā detā huuñ maiñ
husn ke dāman pe aañch aane nahīñ detā kabhī
apne dil meñ sho.ala-e-ġham ko dabā detā huuñ maiñ
kaam kyā zinda-dilī kā mar chukā 'navvāb' dil
maut kī niiñd ārzūoñ ko sulā detā huuñ maiñ
gham ko parde mein masarrat ke chhupa deta hun main
aansu aankhon mein jab aae muskura deta hun main
zindagi ki rahaten kya zindagi tak bhi nisar
yaad jab aate ho tum sab kuchh bhula deta hun main
han isi chup mein jo be-mani hai auron ke liye
kaam jis se hai use sab kuchh suna deta hun main
rona aata tha jab apne haal par wo din gae
ab to barbaadi pe apni muskura deta hun main
aa gai ashkon mein lali hasraton ke KHun ki
dil ki jo haalat hai aankhon se dikha deta hun main
husn ke daman pe aanch aane nahin deta kabhi
apne dil mein shoala-e-gham ko daba deta hun main
kaam kya zinda-dili ka mar chuka 'nawwab' dil
maut ki nind aarzuon ko sula deta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.