gham le ke masarrat ka saman humne banaya
ġham le ke masarrat kā samāñ ham ne banāyā
ashkoñ se sitāroñ kā jahāñ ham ne banāyā
be-qadr banā rakkhā thā aġhyār ne jis ko
is baar amānat ko girāñ ham ne banāyā
nazroñ meñ to but-ḳhāne kā but-ḳhāna thā lekin
dil de ke tumheñ rashk-e-butāñ ham ne banāyā
ḳhud to na rahe anjuman-e-nāz ke qābil
haañ tere liye dil kā makāñ ham ne banāyā
lo aag lagā baiThe hamāre hī jigar meñ
mahfil meñ jinheñ sho.ala-bayāñ ham ne banāyā
guftār kā maidān tumhārā sahī lekin
alfāz ko shāyān-e-zabāñ ham ne banāyā
ādāb na.e ham ne diye rāh-ravī ko
Thokar ko bhī ik sang-e-nishāñ ham ne banāyā
be-kaifī-e-mahfil meñ bhī ye shoḳhī-e-mastī
dil TuuTā to ik ratl-e-girāñ ham ne banāyā
hoñToñ pe lagī muhr to nairañg-e-nazar se
ik ma.arka-e-lafz-o-bayāñ ham ne banāyā
us ne hī bharā zahr se paimāna hamārā
'jauhar' vo jise pīr-e-muġhāñ ham ne banāyā
gham le ke masarrat ka saman hum ne banaya
ashkon se sitaron ka jahan hum ne banaya
be-qadr bana rakkha tha aghyar ne jis ko
is bar amanat ko giran hum ne banaya
nazron mein to but-KHane ka but-KHana tha lekin
dil de ke tumhein rashk-e-butan hum ne banaya
KHud to na rahe anjuman-e-naz ke qabil
han tere liye dil ka makan hum ne banaya
lo aag laga baiThe hamare hi jigar mein
mahfil mein jinhen shoala-bayan hum ne banaya
guftar ka maidan tumhaara sahi lekin
alfaz ko shayan-e-zaban hum ne banaya
aadab nae hum ne diye rah-rawi ko
Thokar ko bhi ek sang-e-nishan hum ne banaya
be-kaifi-e-mahfil mein bhi ye shoKHi-e-masti
dil TuTa to ek ratl-e-giran hum ne banaya
honTon pe lagi muhr to nairang-e-nazar se
ek marka-e-lafz-o-bayan hum ne banaya
us ne hi bhara zahr se paimana hamara
'jauhar' wo jise pir-e-mughan hum ne banaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.