gham mein Dhalti jati hai aaj har KHushi apni
ġham meñ Dhaltī jaatī hai aaj har ḳhushī apnī
zindagī pe rotī hai aah zindagī apnī
jis ne kar diyā rusvā jis ne kar diyā barbād
us se kyā nibhe ai dil rasm-e-dostī apnī
jab qadam uThāte haiñ duur hotī hai manzil
le ke phir kahāñ jaa.e ham ko be-ḳhudī apnī
ātish-e-ġham-e-daurāñ sho.ala-e-ġham-e-jānāñ
mere dil se lete haiñ tāb-e-zindagī apnī
lo ḳhizāñ ke panje meñ jaate jaate har ġhuncha
aah surḳh hoñToñ kī de gayā hañsī apnī
koī dard-e-dil merā aaj tak nahīñ samjhā
ai 'zamīr' kaam aatī kaash shā.erī apnī
gham mein Dhalti jati hai aaj har KHushi apni
zindagi pe roti hai aah zindagi apni
jis ne kar diya ruswa jis ne kar diya barbaad
us se kya nibhe ai dil rasm-e-dosti apni
jab qadam uThate hain dur hoti hai manzil
le ke phir kahan jae hum ko be-KHudi apni
aatish-e-gham-e-dauran shoala-e-gham-e-jaanan
mere dil se lete hain tab-e-zindagi apni
lo KHizan ke panje mein jate jate har ghuncha
aah surKH honTon ki de gaya hansi apni
koi dard-e-dil mera aaj tak nahin samjha
ai 'zamir' kaam aati kash shaeri apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.