gham mera gham nahin kahani hai
ġham mirā ġham nahīñ kahānī hai
aur āñkhoñ meñ sard paanī hai
zehn ke ḳhushnumā jazīre meñ
saḳht uljhan kī hukmrānī hai
aas jiine pe hai ba-zid lekin
vaqt ne mārne kī Thānī hai
zaḳhm ko phuul kis liye na kahūñ
mere mahbūb kī nishānī hai
ġham kā dariyā hai aaj har lamha
aur merī hayāt paanī hai
maiñ agar kāmyāb huuñ 'nāzim'
ham-navāoñ kī mehrbānī hai
gham mera gham nahin kahani hai
aur aankhon mein sard pani hai
zehn ke KHushnuma jazire mein
saKHt uljhan ki hukmrani hai
aas jine pe hai ba-zid lekin
waqt ne marne ki Thani hai
zaKHm ko phul kis liye na kahun
mere mahbub ki nishani hai
gham ka dariya hai aaj har lamha
aur meri hayat pani hai
main agar kaamyab hun 'nazim'
ham-nawaon ki mehrbani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.