gham na do itna ki meri jaan nikal jae kahin
gham na do itna ki meri jaan nikal jae kahin
Maqsood Anwar Maqsood
MORE BYMaqsood Anwar Maqsood
ġham na do itnā ki merī jaañ nikal jaa.e kahīñ
āñsuoñ se jism kī miTTī na gal jaa.e kahīñ
pak rahā ho jaise laavā jism kī chaTTān meñ
terā dāman merī aahoñ se na jal jaa.e kahīñ
dil meñ us kī parvarish karnā agar be-sūd hai
ashk ban kar ḳhvāb āñkhoñ se nikal jaa.e kahīñ
raat ke āsār haiñ phir ik zarā vaqfe ke ba.ad
merā sūraj bhī numū pā kar na Dhal jaa.e kahīñ
terī ye sohbat hai aisī jis pe sadiyāñ vaar duuñ
chhoḌ kar mujh ko na ye ma.asūm pal jaa.e kahīñ
vo mire ehsās meñ lipTā hai mausam kī tarah
ab mirī shāḳh-e-dil-o-jāñ meñ na phal jaa.e kahīñ
kah diyā 'maqsūd' ko apnī faqīrī hai aziiz
ho nahīñ saktā ye banda sar ke bal jaa.e kahīñ
gham na do itna ki meri jaan nikal jae kahin
aansuon se jism ki miTTi na gal jae kahin
pak raha ho jaise lawa jism ki chaTTan mein
tera daman meri aahon se na jal jae kahin
dil mein us ki parwarish karna agar be-sud hai
ashk ban kar KHwab aankhon se nikal jae kahin
raat ke aasar hain phir ek zara waqfe ke baad
mera suraj bhi numu pa kar na Dhal jae kahin
teri ye sohbat hai aisi jis pe sadiyan war dun
chhoD kar mujh ko na ye masum pal jae kahin
wo mere ehsas mein lipTa hai mausam ki tarah
ab meri shaKH-e-dil-o-jaan mein na phal jae kahin
kah diya 'maqsud' ko apni faqiri hai aziz
ho nahin sakta ye banda sar ke bal jae kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.