gham nahin hai chahe jitni tirgi qaem rahe
ġham nahīñ hai chāhe jitnī tīrgī qaa.em rahe
mujh pe bas terī nazar kī chāñdnī qaa.em rahe
is liye oḌhe hue huuñ maiñ ḳhizāoñ kī ridā
mere gulshan kī fazā meñ tāzgī qaa.em rahe
ham-nashīñ itnā batā de kyā karūñ tere baġhair
kis tarah sāñsoñ se aarī zindagī qaa.em rahe
rañg-e-ulfat kī baqā ke vāste mere ḳhudā
āshiqī qaa.em rahe aur dilbarī qaa.em rahe
khāre paanī kā samundar yuuñ huā mujh ko atā
umr bhar hoñToñ pe mere tishnagī qaa.em rahe
jab harīf-e-jāñ hī dil kī dhaḌkanoñ meñ aa base
ġhair mumkin hai kisī se dostī qaa.em rahe
bo.e 'mīnā' raat ke khetoñ meñ yuuñ sūraj ke biij
apnī koshish hai jahāñ meñ raushnī qaa.em rahe
gham nahin hai chahe jitni tirgi qaem rahe
mujh pe bas teri nazar ki chandni qaem rahe
is liye oDhe hue hun main KHizaon ki rida
mere gulshan ki faza mein tazgi qaem rahe
ham-nashin itna bata de kya karun tere baghair
kis tarah sanson se aari zindagi qaem rahe
rang-e-ulfat ki baqa ke waste mere KHuda
aashiqi qaem rahe aur dilbari qaem rahe
khaare pani ka samundar yun hua mujh ko ata
umr bhar honTon pe mere tishnagi qaem rahe
jab harif-e-jaan hi dil ki dhaDkanon mein aa base
ghair mumkin hai kisi se dosti qaem rahe
boe 'mina' raat ke kheton mein yun suraj ke bij
apni koshish hai jahan mein raushni qaem rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.