gham nahin jo phul itne roz murjhate rahe
gham nahin jo phul itne roz murjhate rahe
Wajahat Ali Sandailvi
MORE BYWajahat Ali Sandailvi
ġham nahīñ jo phuul itne roz murjhāte rahe
qāfile phūloñ ke gulshan meñ na.e aate rahe
jab talak apne charāġh-e-ārzū jalte rahe
be-ḳhatar tārīk rāhoñ par bhī ham chalte rahe
apnī barbādī kā baa.is ham kisī ko kyā kaheñ
apne rahzan ḳhud bane aur ḳhud hī ham luTte rahe
zindagī kī zulmateñ baḌhtī rahīñ baḌhtī rahīñ
saikḌoñ ḳhurshīd-o-māh niklā kiye Dhalte rahe
the sharīk-e-bazm apne māh-o-anjum kahkashāñ
ham sukūt-e-bāhamī se guftugū karte rahe
farq aatā hai nahīñ dīvār ke qad meñ zarā
saa.e us ke ḳhud hī simTe ḳhud hī vo baḌhte rahe
ḳhud se hī hai kāñptā is daur meñ ab har koī
jis tarah ġhāroñ meñ pahle aadmī Darte rahe
zindagī kī tābnākī daulat-o-sarvat se kyoñ
chhichhle dariyā roz hī baḌhte rahe ghaTte rahe
ilm-o-dānish ke tanāze' ḳhuun ke dariyā bane
ābyārī jehl ke paudoñ kī vo karte rahe
kāvisheñ terī ye sab barq-e-sitam bekār haiñ
āshiyāñ jalte ga.e aur āshiyāñ bante rahe
gham nahin jo phul itne roz murjhate rahe
qafile phulon ke gulshan mein nae aate rahe
jab talak apne charagh-e-arzu jalte rahe
be-KHatar tarik rahon par bhi hum chalte rahe
apni barbaadi ka bais hum kisi ko kya kahen
apne rahzan KHud bane aur KHud hi hum luTte rahe
zindagi ki zulmaten baDhti rahin baDhti rahin
saikDon KHurshid-o-mah nikla kiye Dhalte rahe
the sharik-e-bazm apne mah-o-anjum kahkashan
hum sukut-e-bahami se guftugu karte rahe
farq aata hai nahin diwar ke qad mein zara
sae us ke KHud hi simTe KHud hi wo baDhte rahe
KHud se hi hai kanpta is daur mein ab har koi
jis tarah ghaaron mein pahle aadmi Darte rahe
zindagi ki tabnaki daulat-o-sarwat se kyon
chhichhle dariya roz hi baDhte rahe ghaTte rahe
ilm-o-danish ke tanaze' KHun ke dariya bane
aabyari jehl ke paudon ki wo karte rahe
kawishen teri ye sab barq-e-sitam bekar hain
aashiyan jalte gae aur aashiyan bante rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.