gham nahin log jo shahzad ki jaanib ho jaen
gham nahin log jo shahzad ki jaanib ho jaen
Khwaja Ghulamussyedain Rabbani
MORE BYKhwaja Ghulamussyedain Rabbani
ġham nahīñ log jo shahzād kī jānib ho jaa.eñ
kashtiyāñ ham bhī jalā Dāleñ to ġhālib ho jaa.eñ
sab ke sab apne ḳharīdār kī jānib ho jaa.eñ
chāhte haiñ ki zarā daam munāsib ho jaa.eñ
jang jiite haiñ to lahje haiñ ḳhudāoñ kī tarah
hārne vāloñ pe sajde hī na vājib ho jaa.eñ
sub.h har shaḳhs ginegā na.e darjoñ se hameñ
bas kisī shab tirī ḳhalvat ke musāhib ho jaa.eñ
ab 'adāvat bhī himāyat bhī nahīñ poshīda
jitne mujrim haiñ sabhī ahl-e-marātib ho jaa.eñ
ḳhushbueñ sāñsoñ se aur rang nigāhoñ se paḌheñ
titliyoñ phūloñ se aao nā muḳhātib ho jaa.eñ
apne malbūs pe mal kar tire tan kī ḳhushbū
ham jo muhtāj haiñ ik roz meñ sāhib ho jaa.eñ
rauzan-e-rūh se jhāñkā to ye ḳhvāhish jaagī
bār-e-tajsīm uThā leñ tirī qālib ho jaa.eñ
bas ye ḳhvāhish hai jahāñ jaa.eñ tirī sohbat ho
tū agar chāñd ho ham nazm-e-kavākib ho jaa.eñ
gham nahin log jo shahzad ki jaanib ho jaen
kashtiyan hum bhi jala Dalen to ghaalib ho jaen
sab ke sab apne KHaridar ki jaanib ho jaen
chahte hain ki zara dam munasib ho jaen
jang jite hain to lahje hain KHudaon ki tarah
haarne walon pe sajde hi na wajib ho jaen
subh har shaKHs ginega nae darjon se hamein
bas kisi shab teri KHalwat ke musahib ho jaen
ab 'adawat bhi himayat bhi nahin poshida
jitne mujrim hain sabhi ahl-e-maraatib ho jaen
KHushbuen sanson se aur rang nigahon se paDhen
titliyon phulon se aao na muKHatib ho jaen
apne malbus pe mal kar tere tan ki KHushbu
hum jo muhtaj hain ek roz mein sahib ho jaen
rauzan-e-ruh se jhanka to ye KHwahish jagi
bar-e-tajsim uTha len teri qalib ho jaen
bas ye KHwahish hai jahan jaen teri sohbat ho
tu agar chand ho hum nazm-e-kawakib ho jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.