Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

gham-o-alam ke din kya hamesha rahne wale hain

Sabir Naseerabadi

gham-o-alam ke din kya hamesha rahne wale hain

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    ġham-o-ālām ke din kyā hamesha rahne vaale haiñ

    zarā ye raat Dhal jaa.e ujāle ujāle haiñ

    luTātī haiñ bahāreñ jaam gulshan meñ masarrat ke

    mirī taqdīr meñ lekin sharāb-e-ġham ke pyāle haiñ

    na jaane khā ga.ī kis nazar bazm-e-masarrat ko

    na mahfil hai na saaqī hai na baada hai na pyāle haiñ

    bahut dekhe haiñ ham ne husn vāloñ kamī kyā hai

    tire andāz lekin saarī duniyā se nirāle haiñ

    nigāheñ kyā milīñ un se sabhī kuchh kho diyā 'sābir'

    nigāh-e-sahr-āgīñ ke karishme nirāle haiñ

    gham-o-alam ke din kya hamesha rahne wale hain

    zara ye raat Dhal jae ujale hi ujale hain

    luTati hain bahaaren jam gulshan mein masarrat ke

    meri taqdir mein lekin sharab-e-gham ke pyale hain

    na jaane kha gai kis ki nazar bazm-e-masarrat ko

    na mahfil hai na saqi hai na baada hai na pyale hain

    bahut dekhe hain hum ne husn walon ki kami kya hai

    tere andaz lekin sari duniya se nirale hain

    nigahen kya milin un se sabhi kuchh kho diya 'sabir'

    nigah-e-sahr-agin ke karishme hi nirale hain

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now