gham raha baqi na gham ka imtihan baqi raha
ġham rahā baaqī na ġham kā imtihāñ baaqī rahā
mere ġham se ishq kā nām-o-nishāñ baaqī rahā
fasl-e-gul kā is se baḌh kar aur kyā hogā sulūk
bijliyoñ kī chhāvnī meñ āshiyāñ baaqī rahā
jab kisī sūrat vo merā dard-e-dil sunte nahīñ
phir kahāñ lutf-e-zabāñ lutf-e-bayāñ baaqī rahā
āḳhirī dam tak mohabbat meñ hazāroñ ġham sahe
mujh pe lutf-e-zīst kā phir bhī gumāñ baaqī rahā
tinkā tinkā gulsitāñ kā ho gayā sarf-e-ḳhizāñ
bijliyoñ kī nazr ko ik āshiyāñ baaqī rahā
phuul bante hī kalī kā rāz-e-hastī khul gayā
chaar din bhī husn kā parda kahāñ baaqī rahā
rafta rafta uTh ga.e saare hijābāt-e-nazar
parda-e-nāz un ke mere darmiyāñ baaqī rahā
kitnī dard-angez hai ai dost tārīḳh-e-bahār
luT gayā saarā chaman ik āshiyāñ baaqī rahā
dard-o-ġham kī chāñdnī meñ rahm-dil hañsne lage
ashk-bārī meñ jo aalam thā kahāñ baaqī rahā
rahnumā haiñ vo na vo jaada na vo raftār hai
kārvāñ kaisā fareb-e-kārvāñ baaqī rahā
baat ye 'sājid' zamāne bhar meñ hai maanī huī
mere hī sajdoñ se un kā āstāñ baaqī rahā
gham raha baqi na gham ka imtihan baqi raha
mere gham se ishq ka nam-o-nishan baqi raha
fasl-e-gul ka is se baDh kar aur kya hoga suluk
bijliyon ki chhawni mein aashiyan baqi raha
jab kisi surat wo mera dard-e-dil sunte nahin
phir kahan lutf-e-zaban lutf-e-bayan baqi raha
aaKHiri dam tak mohabbat mein hazaron gham sahe
mujh pe lutf-e-zist ka phir bhi guman baqi raha
tinka tinka gulsitan ka ho gaya sarf-e-KHizan
bijliyon ki nazr ko ek aashiyan baqi raha
phul bante hi kali ka raaz-e-hasti khul gaya
chaar din bhi husn ka parda kahan baqi raha
rafta rafta uTh gae sare hijabaat-e-nazar
parda-e-naz un ke mere darmiyan baqi raha
kitni dard-angez hai ai dost tariKH-e-bahaar
luT gaya sara chaman ek aashiyan baqi raha
dard-o-gham ki chandni mein rahm-dil hansne lage
ashk-bari mein jo aalam tha kahan baqi raha
rahnuma hain wo na wo jada na wo raftar hai
karwan kaisa fareb-e-karwan baqi raha
baat ye 'sajid' zamane bhar mein hai mani hui
mere hi sajdon se un ka aastan baqi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.