gham se jab aagahi nahin hoti
ġham se jab āgahī nahīñ hotī
ḳhush bhī rah kar ḳhushī nahīñ hotī
jab tavajjoh tirī nahīñ hotī
zindagī zindagī nahīñ hotī
uf vo māyūsī-e-hayāt ki jab
hasrat-e-marg bhī nahīñ hotī
hañsne vaalo tumheñ shu'ūr bhī hai
har ḳhushī to ḳhushī nahīñ hotī
baḌhtī jaatī hai dil kī māyūsī
aarzū meñ kamī nahīñ hotī
ab to taskīn-e-dil basā auqāt
terī mahfil meñ bhī nahīñ hotī
jo jabīñ tere dar pe jhuk na sake
qābil-e-bandagī nahīñ hotī
maiñ ne dekhā hai chāñd tāroñ meñ
shām-e-ġham raushnī nahīñ hotī
shiddat-e-ġham kā raaz khultā hai
mere lab par hañsī nahīñ hotī
kyā sitam hai ki 'aql vāloñ ko
'ishq se āgahī nahīñ hotī
kyā junūñ hai ki log kahte haiñ
'aql dīvāngī nahīñ hotī
ye junūn-e-payambarī 'maḳhmūr'
is tarah shā'irī nahīñ hotī
gham se jab aagahi nahin hoti
KHush bhi rah kar KHushi nahin hoti
jab tawajjoh teri nahin hoti
zindagi zindagi nahin hoti
uf wo mayusi-e-hayat ki jab
hasrat-e-marg bhi nahin hoti
hansne walo tumhein shu'ur bhi hai
har KHushi to KHushi nahin hoti
baDhti jati hai dil ki mayusi
aarzu mein kami nahin hoti
ab to taskin-e-dil basa auqat
teri mahfil mein bhi nahin hoti
jo jabin tere dar pe jhuk na sake
qabil-e-bandagi nahin hoti
main ne dekha hai chand taron mein
sham-e-gham raushni nahin hoti
shiddat-e-gham ka raaz khulta hai
mere lab par hansi nahin hoti
kya sitam hai ki 'aql walon ko
'ishq se aagahi nahin hoti
kya junun hai ki log kahte hain
'aql diwangi nahin hoti
ye junun-e-payambari 'maKHmur'
is tarah sha'iri nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.