gham se jo aashna nahin hota
ġham se jo āshnā nahīñ hotā
vo kisī kaam kā nahīñ hotā
quvvat-e-sāf-goī hai varna
aa.ina aa.ina nahīñ hotā
jab mire rū-ba-rū vo hote haiñ
mujh ko apnā pata nahīñ hotā
aap ko DhūñDhte haiñ us meñ bhī
jo koī aap sā nahīñ hotā
qurbateñ qurbateñ nahīñ hotīñ
fāsla fāsla nahīñ hotā
kyoñ kisī kī misāl dete ho
har koī ek sā nahīñ hotā
dar-ba-dar sar ko vo jhukāte haiñ
jin kā koī ḳhudā nahīñ hotā
vaqt 'nīlam' baḌā banātā hai
aadmī ḳhud baḌā nahīñ hotā
gham se jo aashna nahin hota
wo kisi kaam ka nahin hota
quwwat-e-saf-goi hai warna
aaina aaina nahin hota
jab mere ru-ba-ru wo hote hain
mujh ko apna pata nahin hota
aap ko DhunDhte hain us mein bhi
jo koi aap sa nahin hota
qurbaten qurbaten nahin hotin
fasla fasla nahin hota
kyon kisi ki misal dete ho
har koi ek sa nahin hota
dar-ba-dar sar ko wo jhukate hain
jin ka koi KHuda nahin hota
waqt 'nilam' baDa banata hai
aadmi KHud baDa nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.